bhala lagaen bhi dil kis tarah kisi se hum
bhalā lagā.eñ bhī dil kis tarah kisī se ham
pareshāñ ho chuke haiñ us kī be-ruḳhī se ham
har ek shaḳhs pe karte haiñ e'tibār bahut
kahīñ na jaan gañvā deñ isī kamī se ham
bhaḌaktī aag ke sho'loñ meñ haath Dāleñge
lagā.e baiThe haiñ ye shart zindagī se ham
kahā thā us ne kabhī ghar tumhāre ā.eñge
sajāne baiTh ga.e apnā ghar abhī se ham
abhī to sāmne aayā nahīñ hai vo chehra
abhī se Darne lage tez raushnī se ham
hunar hamārā bhī chāragarī se kam to nahīñ
diloñ ke zaḳhmoñ ko bharte haiñ shā'irī se ham
bhala lagaen bhi dil kis tarah kisi se hum
pareshan ho chuke hain us ki be-ruKHi se hum
har ek shaKHs pe karte hain e'tibar bahut
kahin na jaan ganwa den isi kami se hum
bhaDakti aag ke sho'lon mein hath Dalenge
lagae baiThe hain ye shart zindagi se hum
kaha tha us ne kabhi ghar tumhaare aaenge
sajaane baiTh gae apna ghar abhi se hum
abhi to samne aaya nahin hai wo chehra
abhi se Darne lage tez raushni se hum
hunar hamara bhi chaaragari se kam to nahin
dilon ke zaKHmon ko bharte hain sha'iri se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.