bhar bhar ke kulanchen ye chale chaal hiran ki
bhar bhar ke kulāñcheñ ye chale chaal hiran kī
is man ko bhī lag jaa.e havā gar tire ban kī
ik raat kī devī ke parastār haiñ ham log
detī hai misāleñ jo tire sāñvle-pan kī
kyā rang thā kyā ruup thā kyā us ke ḳhad-o-ḳhāl
ḳhushbū bhī nahīñ yaad hameñ ab to saman kī
ik aañkh jise dekhnā achchhā nahīñ lagtā
ik dil kī zarūrat hī nahīñ jis ko badan kī
ab apne gunāhoñ kī sazā kaaT rahe haiñ
aage tire har baat ugal dete the man kī
mujrim hai koī paañv paTaktā hai jigar meñ
siine meñ jo har saañs pe zanjīr sī khankī
bhar bhar ke kulanchen ye chale chaal hiran ki
is man ko bhi lag jae hawa gar tere ban ki
ek raat ki dewi ke parastar hain hum log
deti hai misalen jo tere sanwle-pan ki
kya rang tha kya rup tha kya us ke KHad-o-KHal
KHushbu bhi nahin yaad hamein ab to saman ki
ek aankh jise dekhna achchha nahin lagta
ek dil ki zarurat hi nahin jis ko badan ki
ab apne gunahon ki saza kaT rahe hain
aage tere har baat ugal dete the man ki
mujrim hai koi panw paTakta hai jigar mein
sine mein jo har sans pe zanjir si khanki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.