bharose ka gala ghonTa gaya hai
bharose kā galā ghoñTā gayā hai
ye merī naak ke nīche huā hai
maiñ kab kahtā huuñ merī baat maano
magar socho to ye kyā kah rahā hai
nazar meñ usva-e-hasna nahīñ hai
agarche haath meñ ab tak 'asā hai
kafan siltā hai yā phir shervānī
abhī to suuī meñ dhāgā paḌā hai
usī kī hai bulandī aur baḌā.ī
ḳhudā se bhī baḌā hai jo ḳhudā hai
ruī dhunkī ga.ī thī gul-badan kī
abhī tak daaġh dhabbe meñ chhupā hai
mire haq meñ yahī tashbīh behtar
parinda jaise koī par-kaTā hai
bharose ka gala ghonTa gaya hai
ye meri nak ke niche hua hai
main kab kahta hun meri baat mano
magar socho to ye kya kah raha hai
nazar mein uswa-e-hasna nahin hai
agarche hath mein ab tak 'asa hai
kafan silta hai ya phir sherwani
abhi to sui mein dhaga paDa hai
usi ki hai bulandi aur baDai
KHuda se bhi baDa hai jo KHuda hai
rui dhunki gai thi gul-badan ki
abhi tak dagh dhabbe mein chhupa hai
mere haq mein yahi tashbih behtar
parinda jaise koi par-kaTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.