bhaTakne do rawana kyon kiya tha
bhaTakne do ravāna kyoñ kiyā thā
mujhe be-āshiyāna kyoñ kiyā thā
kisī din chhoḌ denā thā ye rasta
to itnā ānā-jānā kyoñ kiyā thā
hamāre 'ishq kā anjām sun kar
ye kahtā hai zamāna kyoñ kiyā thā
bichhaḌnā thā agar manzil pe aa kar
safar shāna-ba-shāna kyoñ kiyā thā
basānā thā tumheñ vīrāna koī
to bastī meñ Thikāna kyoñ kiyā thā
hayā aatī hai merā naam sun kar
to rusvā-e-zamāna kyoñ kiyā thā
tumheñ 'anvar-sha'ūr' āḳhir ḳhudā ne
hazāroñ meñ yagāna kyoñ kiyā thā
bhaTakne do rawana kyon kiya tha
mujhe be-ashiyana kyon kiya tha
kisi din chhoD dena tha ye rasta
to itna aana-jaana kyon kiya tha
hamare 'ishq ka anjam sun kar
ye kahta hai zamana kyon kiya tha
bichhaDna tha agar manzil pe aa kar
safar shana-ba-shana kyon kiya tha
basana tha tumhein virana koi
to basti mein Thikana kyon kiya tha
haya aati hai mera nam sun kar
to ruswa-e-zamana kyon kiya tha
tumhein 'anwar-sha'ur' aaKHir KHuda ne
hazaron mein yagana kyon kiya tha
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 72)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.