bhaTakne wale ko aaKHir kahin pe girna tha

bhaTakne wale ko aaKHir kahin pe girna tha
Mohammad Hasnain Parwez
MORE BYMohammad Hasnain Parwez
bhaTakne vaale ko āḳhir kahīñ pe girnā thā
tumhāre dar pe girā huuñ yahīñ pe girnā thā
havā ke dosh pe kab tak fazā meñ rahte ham
kamāñ se nikle huoñ ko zamīñ pe girnā thā
tumhārī aañkh kī vahshat se lag rahā thā hameñ
tumhārā ashk hamārī jabīñ pe girnā thā
ab us kī laash ko malbe meñ DhūñDte kyā ho
makān-e-ḳhasta ko ik din makīñ pe girnā thā
nibhānā thā mujhe kirdār ik tavāzun se
jahāñ sañbhalnā thā mujh ko vahīñ pe girnā thā
charāġh jaltā hai jal jal ke bujh hī jaatā hai
tumhārī haañ ko kisī din nahīñ pe girnā thā
bhaTakne wale ko aaKHir kahin pe girna tha
tumhaare dar pe gira hun yahin pe girna tha
hawa ke dosh pe kab tak faza mein rahte hum
kaman se nikle huon ko zamin pe girna tha
tumhaari aankh ki wahshat se lag raha tha hamein
tumhaara ashk hamari jabin pe girna tha
ab us ki lash ko malbe mein DhunDte kya ho
makan-e-KHasta ko ek din makin pe girna tha
nibhana tha mujhe kirdar ek tawazun se
jahan sanbhalna tha mujh ko wahin pe girna tha
charagh jalta hai jal jal ke bujh hi jata hai
tumhaari han ko kisi din nahin pe girna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.