Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhiD mein koi shanasa bhi nahin chhoDti hai

Meraj Faizabadi

bhiD mein koi shanasa bhi nahin chhoDti hai

Meraj Faizabadi

MORE BYMeraj Faizabadi

    bhiiḌ meñ koī shanāsā bhī nahīñ chhoḌtī hai

    zindagī mujh ko akelā bhī nahīñ chhoḌtī hai

    āfiyat koī gosha bhī nahīñ chhoḌtī hai

    aur duniyā mirā rasta bhī nahīñ chhoḌtī hai

    mujh ko rusvā bhī bahut kartī hai shohrat havas

    aur shohrat mirā pīchhā bhī nahīñ chhoḌtī hai

    ham ko do ghoñT ḳhairāt de do varna

    pyaas pāgal ho to dariyā bhī nahīñ chhoḌtī hai

    aabrū ke liye rotī hai bahut pichhle pahar

    ek aurat ki jo pesha bhī nahīñ chhoḌtī hai

    Dūbne vaale ke hāthoñ meñ ye pāgal duniyā

    ek TuuTā huā tinkā bhī nahīñ chhoḌtī hai

    ab ke jab gaañv se lauTe to ye ehsās huā

    dushmanī ḳhuun rishta bhī nahīñ chhoḌtī hai

    kyā mukammal hai judā.ī ki bichhaḌ jaane ke ba.ad

    tujh se milne bahānā bhī nahīñ chhoḌtī hai

    jānte sab the ki nafrat ye kaalī āñdhī

    dasht to dasht haiñ dariyā bhī nahīñ chhoḌtī hai

    bhiD mein koi shanasa bhi nahin chhoDti hai

    zindagi mujh ko akela bhi nahin chhoDti hai

    aafiyat ka koi gosha bhi nahin chhoDti hai

    aur duniya mera rasta bhi nahin chhoDti hai

    mujh ko ruswa bhi bahut karti hai shohrat ki hawas

    aur shohrat mera pichha bhi nahin chhoDti hai

    hum ko do ghonT ki KHairaat hi de do warna

    pyas pagal ho to dariya bhi nahin chhoDti hai

    aabru ke liye roti hai bahut pichhle pahar

    ek aurat ki jo pesha bhi nahin chhoDti hai

    Dubne wale ke hathon mein ye pagal duniya

    ek TuTa hua tinka bhi nahin chhoDti hai

    ab ke jab ganw se lauTe to ye ehsas hua

    dushmani KHun ka rishta bhi nahin chhoDti hai

    kya mukammal hai judai ki bichhaD jaane ke baad

    tujh se milne ka bahana bhi nahin chhoDti hai

    jaante sab the ki nafrat ki ye kali aandhi

    dasht to dasht hain dariya bhi nahin chhoDti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now