bhik didar ki de do mujhe data ban kar
bhiik dīdār kī de do mujhe daatā ban kar
DhūñDhtī rahtī haiñ āñkheñ tumheñ kaasa ban kar
mujh ko rahnā thā tirī aañkh meñ aañsū kī tarah
maiñ to nākām huuñ ai dost sitārā ban kar
ek lamha jo mohabbat kā milā thā mujh ko
chhā gayā zehn pe mere vo zamāna ban kar
kaise ehsān utārūñgā maiñ us jugnū kā
jo añdheroñ meñ rahā saath ujālā ban kar
tazkira chāhe kisī kā ho chamak aatī nahīñ
rah ga.ī zindagī bīmār kā chehra ban kar
bhik didar ki de do mujhe data ban kar
DhunDhti rahti hain aankhen tumhein kasa ban kar
mujh ko rahna tha teri aankh mein aansu ki tarah
main to nakaam hun ai dost sitara ban kar
ek lamha jo mohabbat ka mila tha mujh ko
chha gaya zehn pe mere wo zamana ban kar
kaise ehsan utarunga main us jugnu ka
jo andheron mein raha sath ujala ban kar
tazkira chahe kisi ka ho chamak aati nahin
rah gai zindagi bimar ka chehra ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.