bhul jaane ke liye yaad kiya
bhuul jaane ke liye yaad kiyā
dil ko nāshād kiyā shaad kiyā
ḳhalq kar ke mirī afzā.ish kī
vāqa'e se mujhe rūdād kiyā
thā agar hurmat-e-vahdat kā ḳhayāl
kyoñ mujhe fard se afrād kiyā
vaqt meñ Daal dī barkat us ne
chand lamhāt ko mī'ād kiyā
aa tujhe dil se rihā.ī de duuñ
jā tujhe qaid se āzād kiyā
ek jangal hī ujāḌā ham ne
shahr jab bhī koī ābād kiyā
kar liyā ḳhud se kināra 'āsim'
ajnabī shaḳhs ko ham-zād kiyā
bhul jaane ke liye yaad kiya
dil ko nashad kiya shad kiya
KHalq kar ke meri afzaish ki
waqa'e se mujhe rudad kiya
tha agar hurmat-e-wahdat ka KHayal
kyon mujhe fard se afrad kiya
waqt mein Dal di barkat us ne
chand lamhat ko mi'ad kiya
aa tujhe dil se rihai de dun
ja tujhe qaid se aazad kiya
ek jangal hi ujaDa hum ne
shahr jab bhi koi aabaad kiya
kar liya KHud se kinara 'asim'
ajnabi shaKHs ko ham-zad kiya
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 126)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.