Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhul na usko dhun hai jidhar ki chaunk musafir raat nahin hai

Shad Azimabadi

bhul na usko dhun hai jidhar ki chaunk musafir raat nahin hai

Shad Azimabadi

MORE BYShad Azimabadi

    bhuul na us ko dhun hai jidhar chauñk musāfir raat nahīñ hai

    shakl numāyāñ hogī sahar chauñk musāfir raat nahīñ hai

    āñkheñ malte sehn-e-chaman meñ jhuum ke uTThe niiñd ke maate

    dekh sabā ne aa ke ḳhabar chauñk musāfir raat nahīñ hai

    niile niile rañg ke uupar baḌhtī jaatī hai safedī

    ho ga.ī rañgat zar-o-qamar chauñk musāfir raat nahīñ hai

    zor na tāqat sañg na sāthī paañv se apne aap hai chalnā

    tujh pe hai bhārī rāh-e-safar chauñk musāfir raat nahīñ hai

    tujh pe maiñ qurbāñ jaanī pyāre ham-nafas-o-ham-dard hamāre

    tujh se hai ulfat maiñ ne ḳhabar chauñk musāfir raat nahīñ hai

    pañkh-pakherū ḳhvāb se chauñke sab ne ḳhushī ke na.are maare

    aa.ī sadā murġhān-e-sahar chauñk musāfir raat nahīñ hai

    kuuch saa.at aa ga.ī sar par 'shād' uThā le jholī-bistar

    niiñd meñ saarī raat basar chauñk musāfir raat nahīñ hai

    bhul na us ko dhun hai jidhar ki chaunk musafir raat nahin hai

    shakl numayan hogi sahar ki chaunk musafir raat nahin hai

    aankhen malte sehn-e-chaman mein jhum ke uTThe nind ke mate

    dekh saba ne aa ke KHabar ki chaunk musafir raat nahin hai

    nile nile rang ke upar baDhti hi jati hai safedi

    ho gai rangat zar-o-qamar ki chaunk musafir raat nahin hai

    zor na taqat sang na sathi panw se apne aap hai chalna

    tujh pe hai bhaari rah-e-safar ki chaunk musafir raat nahin hai

    tujh pe main qurban jaani pyare ham-nafas-o-ham-dard hamare

    tujh se hai ulfat main ne KHabar ki chaunk musafir raat nahin hai

    pankh-pakheru KHwab se chaunke sab ne KHushi ke nare mare

    aai sada murghan-e-sahar ki chaunk musafir raat nahin hai

    kuch ki saat aa gai sar par 'shad' uTha le jholi-bistar

    nind mein sari raat basar ki chaunk musafir raat nahin hai

    Source:

    Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 297)

    • Author: Shad Azimabadi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now