bhulun bhi kis tarah se bhala bewafa ko main

bhulun bhi kis tarah se bhala bewafa ko main
Mohammad Shoaib Mirza
MORE BYMohammad Shoaib Mirza
bhūlūñ bhī kis tarah se bhalā bevafā ko maiñ
us ko jafā 'azīz huī hai jafā ko maiñ
āñkhoñ meñ koī aur samāyā nahīñ kabhī
āñkheñ safed haiñ to milā huuñ qazā ko maiñ
ranj-o-ḳhushī kā saath mayassar huā mujhe
har do ghaḌī meñ bhuul na paayā ḳhudā ko maiñ
lā-raib tū hai 'illat-e-tajsīm se barī
dekhūñ darūn-e-qalb tire naqsh-e-pā ko maiñ
dekhā sunā nahīñ na paḌhā hai bahut 'shu'aib'
lekin ḳharāj pesh karūñgā 'rasā' ko maiñ
bhulun bhi kis tarah se bhala bewafa ko main
us ko jafa 'aziz hui hai jafa ko main
aankhon mein koi aur samaya nahin kabhi
aankhen safed hain to mila hun qaza ko main
ranj-o-KHushi ka sath mayassar hua mujhe
har do ghaDi mein bhul na paya KHuda ko main
la-raib tu hai 'illat-e-tajsim se bari
dekhun darun-e-qalb tere naqsh-e-pa ko main
dekha suna nahin na paDha hai bahut 'shu'aib'
lekin KHaraj pesh karunga 'rasa' ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.