bichhaD ke tujhse jo hum jaan se juda hue hain
bichhaḌ ke tujh se jo ham jaan se judā hue haiñ
yaqīn rakh ki baḌī shaan se judā hue haiñ
zarūr mausam-e-vahshat kī āmad-āmad hai
ye ham jo apne garebān se judā hue haiñ
bulā rahī hai vo nā-mumkināt kī duniyā
isī liye had-e-imkān se judā hue haiñ
sabhī zamān-o-makāñ ham se duur jā pahuñche
vo ek pal ki tire dhyān se judā hue haiñ
visāl chāhtī haiñ ham se mushkileñ kyā kyā
bas ek lamha-e-āsān se judā hue haiñ
ye faisla thā ki jā.eñge ruuh se milne
to pahle jism ke sāmān se judā hue haiñ
bichhaD ke tujh se jo hum jaan se juda hue hain
yaqin rakh ki baDi shan se juda hue hain
zarur mausam-e-wahshat ki aamad-amad hai
ye hum jo apne gareban se juda hue hain
bula rahi hai wo na-mumkinat ki duniya
isi liye had-e-imkan se juda hue hain
sabhi zaman-o-makan hum se dur ja pahunche
wo ek pal ki tere dhyan se juda hue hain
visal chahti hain hum se mushkilen kya kya
bas ek lamha-e-asan se juda hue hain
ye faisla tha ki jaenge ruh se milne
to pahle jism ke saman se juda hue hain
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 46)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 24)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.