bichhaDne walon ka rona ziyaada rota nahin
bichhaḌne vāloñ kā ronā ziyāda rotā nahīñ
bahut dinoñ meñ ta'alluq kā bojh Dhotā nahīñ
bahut se log to patthar pe sar paTakte haiñ
har ek 'ishq ke hisse meñ jism hotā nahīñ
chamakte paanī pe ehsān hai sitāroñ kā
isī liye to samundar unheñ Dubotā nahīñ
maiñ sab ko khote hue aa gayā huuñ aisī jagah
jahāñ pe koī kisī ko kabhī bhī khotā nahīñ
zarā sī der meñ luT jaatī hai sabhī daulat
mohabbatoñ ke safar meñ maiñ yuuñ bhī sotā nahīñ
bichhaDne walon ka rona ziyaada rota nahin
bahut dinon mein ta'alluq ka bojh Dhota nahin
bahut se log to patthar pe sar paTakte hain
har ek 'ishq ke hisse mein jism hota nahin
chamakte pani pe ehsan hai sitaron ka
isi liye to samundar unhen Dubota nahin
main sab ko khote hue aa gaya hun aisi jagah
jahan pe koi kisi ko kabhi bhi khota nahin
zara si der mein luT jati hai sabhi daulat
mohabbaton ke safar mein main yun bhi sota nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.