Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bigDi hui jahan mein usi ki sanwar gai

Bismil Allahabadi

bigDi hui jahan mein usi ki sanwar gai

Bismil Allahabadi

MORE BYBismil Allahabadi

    bigḌī huī jahāñ meñ usī sañvar ga.ī

    jis nizām-e-dahr pe gahrī nazar ga.ī

    bīmārī-e-firāq nasīhat ye kar ga.ī

    bigḌī vahī to baat jo had se guzar ga.ī

    marne ke vaqt ḳhair jo guzrī guzar ga.ī

    tum aa ga.e to ab mirī miTTī sañvar ga.ī

    ahbāb chārāgar ko du'ā de rahe haiñ kyoñ

    shāyad marīz-e-ġham tabī'at Thahar ga.ī

    jalva dikhā ke tuur pe rū-posh ho gayā

    achchhe par ai hakīm tumhārī nazar ga.ī

    'ālam nizām-e-ishq badlā burī tarah

    jis samt merī maut uḌ kar ḳhabar ga.ī

    maiñ kyā batā.ūñ ke rukī kis maqām par

    merī nazar jo hadd-e-nazar se guzar ga.ī

    qātil tirī nigāh meñ tezī ġhazab hai

    bismil phir aaj hazrat-e-'bismil' ko kar ga.ī

    bigDi hui jahan mein usi ki sanwar gai

    jis ki nizam-e-dahr pe gahri nazar gai

    bimari-e-firaq nasihat ye kar gai

    bigDi wahi to baat jo had se guzar gai

    marne ke waqt KHair jo guzri guzar gai

    tum aa gae to ab meri miTTi sanwar gai

    ahbab chaaragar ko du'a de rahe hain kyon

    shayad mariz-e-gham ki tabi'at Thahar gai

    jalwa dikha ke tur pe ru-posh ho gaya

    achchhe par ai hakim tumhaari nazar gai

    'alam nizam-e-ishq ka badla buri tarah

    jis samt meri maut ki uD kar KHabar gai

    main kya bataun ja ke ruki kis maqam par

    meri nazar jo hadd-e-nazar se guzar gai

    qatil teri nigah mein tezi ghazab ki hai

    bismil phir aaj hazrat-e-'bismil' ko kar gai

    Source:

    Jazbat-e-Bismil (Pg. 114)

    • Author: Bismil Allahabadi
      • Publisher: Indian Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1932
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now