bijliyan aur bahaar kya kahna
bijliyan aur bahaar kya kahna
Mushtaq Husain Khan Hashmi Mushtaq
MORE BYMushtaq Husain Khan Hashmi Mushtaq
bijliyāñ aur bahār kyā kahnā
aag aur lāla-zār kyā kahnā
merī aaheñ bhī nā-pasand unheñ
sabr bhī nāgavār kyā kahnā
ishq kī bebasī ma.āz-allāh
husn kā iḳhtiyār kyā kahnā
ġham ho jis zindagī kī bismillāh
us kā anjām-e-kār kyā kahnā
ġham hī ġham 'hāshmī' jazāk-allāh
mere lail-o-nahār kyā kahnā
bijliyan aur bahaar kya kahna
aag aur lala-zar kya kahna
meri aahen bhi na-pasand unhen
sabr bhi nagawar kya kahna
ishq ki bebasi maaz-allah
husn ka iKHtiyar kya kahna
gham ho jis zindagi ki bismillah
us ka anjam-e-kar kya kahna
gham hi gham 'hashmi' jazak-allah
mere lail-o-nahaar kya kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.