bikharne ka irada kar rahe hain
bikharne kā irāda kar rahe haiñ
abhī ḳhud ko kushāda kar rahe haiñ
abhī dīvāngī kī ibtidā hai
junūñ had se ziyāda kar rahe haiñ
sabhī kuchh ho rahā hai be-irāda
sabhī kuchh be-irāda kar rahe haiñ
chhupānā chāhte haiñ kuchh yaqīnan
vo kuchh bāteñ ziyāda kar rahe haiñ
kisī din raa.e bhī zāhir kareñge
abhī to istifāda kar rahe haiñ
hameñ kahnī hai rangoñ kī kahānī
so ham lahje ko saada kar rahe haiñ
bikharne ka irada kar rahe hain
abhi KHud ko kushada kar rahe hain
abhi diwangi ki ibtida hai
junun had se ziyaada kar rahe hain
sabhi kuchh ho raha hai be-irada
sabhi kuchh be-irada kar rahe hain
chhupana chahte hain kuchh yaqinan
wo kuchh baaten ziyaada kar rahe hain
kisi din rae bhi zahir karenge
abhi to istifada kar rahe hain
hamein kahni hai rangon ki kahani
so hum lahje ko sada kar rahe hain
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 87)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.