bojh KHwabon ka un aankhon se bahut Dhoya tha

Moin Shadab

bojh KHwabon ka un aankhon se bahut Dhoya tha

Moin Shadab

MORE BYMoin Shadab

  bojh ḳhvāboñ un āñkhoñ se bahut Dhoyā thā

  aur phir maiñ bhī natīje meñ lahū royā thā

  dukh meñ shirkat yaqīñ ho bhī use to kaise

  dil se royā thā maiñ āñkhoñ se nahīñ royā thā

  dekh kar fasl añdheroñ ye hairat kaisī

  ne khetoñ meñ ujālā kahāñ boyā thā

  gum agar suuī bhī ho jaa.e to dil dukhtā hai

  aur ham ne to mohabbat meñ tujhe khoyā thā

  jiit is baar bhī kachhve huī hairat hai

  dauḌ meñ ab ke to ḳhargosh nahīñ soyā thā

  jism nāsūroñ se sajnā thā tum ne 'shādāb'

  paTTiyāñ dhoī thiiñ zaḳhmoñ ko kahāñ dhoyā thā

  bojh KHwabon ka un aankhon se bahut Dhoya tha

  aur phir main bhi natije mein lahu roya tha

  dukh mein shirkat ka yaqin ho bhi use to kaise

  dil se roya tha main aankhon se nahin roya tha

  dekh kar fasl andheron ki ye hairat kaisi

  tu ne kheton mein ujala hi kahan boya tha

  gum agar sui bhi ho jae to dil dukhta hai

  aur hum ne to mohabbat mein tujhe khoya tha

  jit is bar bhi kachhwe ki hui hairat hai

  dauD mein ab ke to KHargosh nahin soya tha

  jism nasuron se sajna hi tha tum ne 'shadab'

  paTTiyan dhoi thin zaKHmon ko kahan dhoya tha

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY