bolna kya hai agar tai bhi nahin hai sain
bolnā kyā hai agar tai bhī nahīñ hai sā.īñ
ḳhāmushī itnī burī shai bhī nahīñ hai sā.īñ
un ke hoñThoñ pe tirī jai to bahut duur kī baat
un kī āñkhoñ meñ tirā bhay bhī nahīñ hai sā.īñ
haal se ḳhauf to sab khāte haiñ par itnā ḳhauf
puurī tahrīr meñ ik hai bhī nahīñ hai sā.īñ
vo haqīqat hai ki tū dekh nahīñ pā.egā
aur sāġhar meñ tire mai bhī nahīñ hai sā.īñ
kyā huā hai mujhe jo raqs kiye jaatā huuñ
mere matlab kī to ye lai bhī nahīñ hai sā.īñ
bolna kya hai agar tai bhi nahin hai sain
KHamushi itni buri shai bhi nahin hai sain
un ke honThon pe teri jai to bahut dur ki baat
un ki aankhon mein tera bhay bhi nahin hai sain
haal se KHauf to sab khate hain par itna KHauf
puri tahrir mein ek hai bhi nahin hai sain
wo haqiqat hai ki tu dekh nahin paega
aur saghar mein tere mai bhi nahin hai sain
kya hua hai mujhe jo raqs kiye jata hun
mere matlab ki to ye lai bhi nahin hai sain
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 36)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.