bolta hai tere ashaar ka jadu dil mein
boltā hai tire ash'ār kā jaadū dil meñ
aa rahī hai tire alfāz kī ḳhushbū dil meñ
aisā lagtā hai tirī yaad chalī aa.ī hai
raushnī phailtī jaatī hai jo harsū dil meñ
phir tire hoñT hañse haiñ mirī barbādī par
kyoñ chamakne lage ummīd ke jugnū dil meñ
tīrgī phail ga.ī ḳhāna-e-ġham meñ shāyad
hijr kī raat ne khole haiñ ye gesū dil meñ
hasrateñ tolne aa.e haiñ vo 'mariyam' kyūñki
le ke baiThe haiñ ka.ī dard tarāzū dil meñ
bolta hai tere ash'ar ka jadu dil mein
aa rahi hai tere alfaz ki KHushbu dil mein
aisa lagta hai teri yaad chali aai hai
raushni phailti jati hai jo harsu dil mein
phir tere honT hanse hain meri barbaadi par
kyon chamakne lage ummid ke jugnu dil mein
tirgi phail gai KHana-e-gham mein shayad
hijr ki raat ne khole hain ye gesu dil mein
hasraten tolne aae hain wo 'mariyam' kyunki
le ke baiThe hain kai dard taraazu dil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.