bolte hi bolte chup ho gae patthar ke log
bolte hī bolte chup ho ga.e patthar ke log
kyoñ fazā ḳhāmosh hai kyā so ga.e patthar ke log
roz Takrāte rahe chingāriyāñ uḌtī rahīñ
shahr vīrāñ ho ga.e jab ho ga.e patthar ke log
kaisā jaada kaisī manzil kyā thakan kyā hausla
niiñd se bojhal thiiñ āñkheñ so ga.e patthar ke log
apnā chehra dekh kar ghabrā.eñge mar jā.eñge
ā.inoñ ke shahr meñ gar kho ga.e patthar ke log
aur kab tak Dhote apnī laash apne dosh par
dasht-e-tanhā.ī meñ āḳhir so ga.e patthar ke log
shīsha ban kar kab tak apnī kirchiyoñ se khelte
ham bhī patthar ho ga.e jab ho ga.e patthar ke log
ab koī dastak 'aqīl' un ko jagā saktī nahīñ
aise vīrānoñ meñ jā kar so ga.e patthar ke log
bolte hi bolte chup ho gae patthar ke log
kyon faza KHamosh hai kya so gae patthar ke log
roz Takraate rahe chingariyan uDti rahin
shahr viran ho gae jab ho gae patthar ke log
kaisa jada kaisi manzil kya thakan kya hausla
nind se bojhal thin aankhen so gae patthar ke log
apna chehra dekh kar ghabraenge mar jaenge
aainon ke shahr mein gar kho gae patthar ke log
aur kab tak Dhote apni lash apne dosh par
dasht-e-tanhai mein aaKHir so gae patthar ke log
shisha ban kar kab tak apni kirchiyon se khelte
hum bhi patthar ho gae jab ho gae patthar ke log
ab koi dastak 'aqil' un ko jaga sakti nahin
aise viranon mein ja kar so gae patthar ke log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.