Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bujh gain aqlon ki aankhen gal gae jazbon ke par

Nisar Nasik

bujh gain aqlon ki aankhen gal gae jazbon ke par

Nisar Nasik

MORE BYNisar Nasik

    bujh ga.iiñ aqloñ āñkheñ gal ga.e jazboñ ke par

    kohr ke kīchaḌ meñ taḌpe haiñ parinde rāt-bhar

    jaane phir kin daldaloñ se āḳhirī āvāz deñ

    apnī be-manshūr umreñ apne be-manzil safar

    mere bāhar chār-sū martī sadāoñ sarāb

    bikharnā chāhtā hai to mire andar bikhar

    kañval shakl meñ phūTegā apnī zaat se

    jism ḳhvāhish ke gahre pāniyoñ meñ bhī utar

    phir mirī miTTī meñ apnī chāhatoñ sūñghnā

    pahle merī saañs ke sunsān jañgal se guzar

    dil meñ 'nāsik' rah ga.ī haiñ aarzū do laveñ

    ek ḳhush aadat laḌkī aur ik chhoTā ghar

    bujh gain aqlon ki aankhen gal gae jazbon ke par

    kohr ke kichaD mein taDpe hain parinde raat-bhar

    jaane phir kin daldalon se aaKHiri aawaz den

    apni be-manshur umren apne be-manzil safar

    mere bahar chaar-su marti sadaon ka sarab

    tu bikharna chahta hai to mere andar bikhar

    tu kanwal ki shakl mein phuTega apni zat se

    jism ki KHwahish ke gahre paniyon mein bhi utar

    phir meri miTTi mein apni chahaton ki sunghna

    pahle meri sans ke sunsan jangal se guzar

    dil mein 'nasik' rah gai hain aarzu ki do lawen

    ek KHush aadat si laDki aur ek chhoTa sa ghar

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 1033)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now