aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bujh jae dil bashar ka to usko shifa se kya

Ameer Chand Bahar

bujh jae dil bashar ka to usko shifa se kya

Ameer Chand Bahar

MORE BYAmeer Chand Bahar

    bujh jaa.e dil bashar to us ko shifā se kyā

    kis darja hogī kārgar us ko davā se kyā

    jhulsā ke rakh diyā jise bād-e-sumūm ne

    ġhunchoñ se kyā ġharaz use bād-e-sabā se kyā

    do vaqt jis ġharīb ko roTī na ho nasīb

    maz.hab kyā kare use zikr-e-ḳhudā se kyā

    rahne ko jhoñpaḌā bhī na jis shaḳhs ko mile

    us ko sazā fikr kyā us ko jazā se kyā

    jis ke badan pe gosht dikhā.ī na de kahīñ

    us aadmī ko ruuh nash-o-numā se kyā

    tañg aa chukā ho kashmakash-e-zindagī se jo

    kyā mah-vashoñ se kaam use dilrubā se kyā

    fikr-e-ma.āsh se na fursat mile jise

    sher-o-adab se kyā use mehr-o-vafā se kyā

    suntā ho jo zamīr āvāz dosto

    us ko kisī ḳhizar se kisī rahnumā se kyā

    rahtā ho apnī zaat meñ jo mast har ghaḌī

    us ko sarā-e-dahr āb-o-havā se kyā

    kahnā ho jo bhī aap use barmalā kaheñ

    lafzoñ ke her-pher se tarz-e-adā se kyā

    bujh jae dil bashar ka to us ko shifa se kya

    kis darja hogi kargar us ko dawa se kya

    jhulsa ke rakh diya jise baad-e-sumum ne

    ghunchon se kya gharaz use baad-e-saba se kya

    do waqt jis gharib ko roTi na ho nasib

    mazhab ka kya kare use zikr-e-KHuda se kya

    rahne ko jhonpaDa bhi na jis shaKHs ko mile

    us ko saza ki fikr kya us ko jaza se kya

    jis ke badan pe gosht dikhai na de kahin

    us aadmi ko ruh ki nash-o-numa se kya

    tang aa chuka ho kashmakash-e-zindagi se jo

    kya mah-washon se kaam use dilruba se kya

    fikr-e-maash hi se na fursat mile jise

    sher-o-adab se kya use mehr-o-wafa se kya

    sunta ho jo zamir ki aawaz dosto

    us ko kisi KHizar se kisi rahnuma se kya

    rahta ho apni zat mein jo mast har ghaDi

    us ko sara-e-dahr ki aab-o-hawa se kya

    kahna ho jo bhi aap use barmala kahen

    lafzon ke her-pher se tarz-e-ada se kya

    Source:

    Nasheeb-o-Faraz (Pg. 37)

    • Author: Ameer Chand Bahar
      • Publisher: Haryana Urdu Academy, Haryana
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now