bujhte hue charagh pe Dali hai raushni
bujhte hue charāġh pe Daalī hai raushnī
bantī nahīñ thī aur banā lī hai raushnī
dariyā ġhurūb hone chalā thā ki aaj raat
ġharqāb kashtiyoñ ne uchhālī hai raushnī
apnī nishast chhoḌ ke vaañ rakh diyā charāġh
maiñ ne zamīn de ke bachā lī hai raushnī
maiñ ne kinār-e-shām guzārī hai ek 'umr
maiñ jāntā huuñ Dūbne vaalī hai raushnī
kyā raakh gir rahī hai nazar kī muñDer se
ḳhālī diyā hai aur ḳhayālī hai raushnī
is baar tere ḳhvāb meñ rakkhā hai apnā ḳhvāb
is baar raushnī meñ sañbhālī hai raushnī
āñkhoñ meñ jam' karte the ham din bhī raat bhī
ab kyā kareñ jo itnī baḌhā lī hai raushnī
bujhte hue charagh pe Dali hai raushni
banti nahin thi aur bana li hai raushni
dariya ghurub hone chala tha ki aaj raat
gharqab kashtiyon ne uchhaali hai raushni
apni nishast chhoD ke wan rakh diya charagh
main ne zamin de ke bacha li hai raushni
main ne kinar-e-sham guzari hai ek 'umr
main jaanta hun Dubne wali hai raushni
kya rakh gir rahi hai nazar ki munDer se
KHali diya hai aur KHayali hai raushni
is bar tere KHwab mein rakkha hai apna KHwab
is bar raushni mein sanbhaali hai raushni
aankhon mein jam' karte the hum din bhi raat bhi
ab kya karen jo itni baDha li hai raushni
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 77)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.