Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bula kar dushmanon ko jaan par mushkil na ban jae

Boom Merathi

bula kar dushmanon ko jaan par mushkil na ban jae

Boom Merathi

MORE BYBoom Merathi

    bulā kar dushmanoñ ko jaan par mushkil na ban jaa.e

    akhāḌā faujdārī terī mahfil na ban jaa.e

    liye phirtā hai saalā Tiin talvār hāthoñ meñ

    javāñ hone se pahle kahīñ qātil na ban jaa.e

    zamāna muztarib hai merī rūdād-e-alam sun kar

    kahīñ duniyā se ulfat iztirāb-e-dil na bin jaa.e

    phirā karte ho lailā tarah din raat Dolī meñ

    yahī parda tumhārā parda-e-mahmil na ban jaa.e

    terī zulf-e-siyah chhoTī jo ma.alūm hotī hai

    kahīñ aage ko ye baḌh kar balā-e-dil na ban jaa.e

    use ham dil nahīñ miTTī ik Dhelā samajhte haiñ

    ki jab tak ranj-o-ġham sahne ke vo qābil na ban jaa.e

    vahī hai be-qarārī aur vahī hai iztirāb is meñ

    kahīñ ye surḳh aañsū thartharā kar dil na ban jaa.e

    lagāte nahīñ vo haath mere dil miTTī ko

    unheñ ye Dar hai mere chhūne se phir dil na ban jaa.e

    ḳhudā raah meñ bosa jo māñgā soch kar bole

    ye Dar hai hamesha ke liye saa.il na ban jaa.e

    janāb-e-'būm' aksar be-ticket chalne ke aadī haiñ

    kahīñ pakḌe ga.e to jaan par mushkil na ban jaa.e

    bula kar dushmanon ko jaan par mushkil na ban jae

    akhaDa faujdari ka teri mahfil na ban jae

    liye phirta hai sala Tin ki talwar hathon mein

    jawan hone se pahle hi kahin qatil na ban jae

    zamana muztarib hai meri rudad-e-alam sun kar

    kahin duniya se ulfat iztirab-e-dil na bin jae

    phira karte ho laila ki tarah din raat Doli mein

    yahi parda tumhaara parda-e-mahmil na ban jae

    teri zulf-e-siyah chhoTi si jo malum hoti hai

    kahin aage ko ye baDh kar bala-e-dil na ban jae

    use hum dil nahin miTTi ka ek Dhela samajhte hain

    ki jab tak ranj-o-gham sahne ke wo qabil na ban jae

    wahi hai be-qarari aur wahi hai iztirab is mein

    kahin ye surKH aansu tharthara kar dil na ban jae

    lagate hi nahin wo hath mere dil ki miTTi ko

    unhen ye Dar hai mere chhune se phir dil na ban jae

    KHuda ki rah mein bosa jo manga soch kar bole

    ye Dar hai tu hamesha ke liye sail na ban jae

    janab-e-'bum' aksar be-ticket chalne ke aadi hain

    kahin pakDe gae to jaan par mushkil na ban jae

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Boom (Pg. 73)

      • Publisher: Jawahar Book Depot, Meerut
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now