bulawa aa chuka chalna to hoga
bulāvā aa chukā chalnā to hogā
badan ko ḳhaak meñ Dhalnā to hogā
na maiñ muusā na ibrāhīm jaisā
kiyā hai 'ishq to jalnā to hogā
zarā sī der ruknā hai yahāñ par
na.ī phir raah par chalnā to hogā
mire jaane kā mat afsos karnā
maiñ sūraj huuñ mujhe Dhalnā to hogā
vo jis ne tujh ko pā kar kho diyā ho
use hāthoñ ko phir malnā to hogā
mayassar jis ko terā dil nahīñ hai
kahīñ is dukh ko phir palnā to hogā
du'ā meñ merī aa.heñ bhī haiñ shāmil
'ḳhizar' taqdīr ko Talnā to hogā
bulawa aa chuka chalna to hoga
badan ko KHak mein Dhalna to hoga
na main musa na ibrahim jaisa
kiya hai 'ishq to jalna to hoga
zara si der rukna hai yahan par
nai phir rah par chalna to hoga
mere jaane ka mat afsos karna
main suraj hun mujhe Dhalna to hoga
wo jis ne tujh ko pa kar kho diya ho
use hathon ko phir malna to hoga
mayassar jis ko tera dil nahin hai
kahin is dukh ko phir palna to hoga
du'a mein meri aahen bhi hain shamil
'KHizar' taqdir ko Talna to hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.