Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

buland fikr ki har sher se ayan ho ramaq

Dr. Azam

buland fikr ki har sher se ayan ho ramaq

Dr. Azam

MORE BYDr. Azam

    buland fikr har sher se ayaañ ho ramaq

    mire qalam se adā ho kabhī ġhazal haq

    udaas udaas haiñ insāñ har ek chehra faq

    ye shahr shahr hai dasht hai ye laq-o-daq

    maiñ dil baat kahūñ yuuñ ki dil talak pahuñche

    na hoñ kinā.e mub.ham na isti.āre adaq

    chalo sameT ke office ko apne ghar taraf

    ufuq ke paar vo dekho utar rahī hai shafaq

    zarā ilm-o-hunar ga.e to kuchh kam-zarf

    samajh rahe haiñ sabhī ko ahqar-o-ahmaq

    phir ehtijāj ke raste pe kyuuñ chaleñge ham

    hameñ jo miltā rahe aap se hamārā haq

    ta.alluqāt meñ qaa.em rakheñ bharose ko

    ki shak hamesha kartā rahā hai rishte shaq

    kisī kitāb meñ miltā nahīñ hai zikr 'āzam'

    hameñ sikhā.e haiñ is zindagī ne aise sabaq

    buland fikr ki har sher se ayan ho ramaq

    mere qalam se ada ho kabhi ghazal ka haq

    udas udas hain insan har ek chehra faq

    ye shahr shahr hai ya dasht hai ye laq-o-daq

    main dil ki baat kahun yun ki dil talak pahunche

    na hon kinae hi mubham na istiare adaq

    chalo sameT ke office ko apne ghar ki taraf

    ufuq ke par wo dekho utar rahi hai shafaq

    zara sa ilm-o-hunar pa gae to kuchh kam-zarf

    samajh rahe hain sabhi ko hi ahqar-o-ahmaq

    phir ehtijaj ke raste pe kyun chalenge hum

    hamein jo milta rahe aap se hamara haq

    talluqat mein qaem rakhen bharose ko

    ki shak hamesha hi karta raha hai rishte shaq

    kisi kitab mein milta nahin hai zikr 'azam'

    hamein sikhae hain is zindagi ne aise sabaq

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now