Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

buri baat un ko hamari lage

Jafar Raza

buri baat un ko hamari lage

Jafar Raza

MORE BYJafar Raza

    burī baat un ko hamārī lage

    hameñ un har baat pyārī lage

    na.e tarz un yaarī lage

    kareñ aisī bāteñ kaTārī lage

    ye jharne ye laala ye sabza ye gul

    chaman meñ har ik shai tumhārī lage

    ye maj.hūl dostī kyā kareñ

    hameñ dushmanī dil se pyārī lage

    kalī badan hai ki mauj-e-bahār

    vo sar se qadam tak kuñvārī lage

    ye dil amānat baneñ to sahī

    jo tīr-e-sitam baarī baarī lage

    diloñ meñ jo utre to lahrā.e barq

    nigāh-e-karam sehar-kārī lage

    kisī ḳhūn-e-nāhaq gul-reziyāñ

    chaman-dar-chaman lāla-kārī lage

    ġhazal aisī kah hai jāfar-'razā'

    raqībāñ ke dil par kaTārī lage

    buri baat un ko hamari lage

    hamein un ki har baat pyari lage

    nae tarz ki un ki yari lage

    karen aisi baaten kaTari lage

    ye jharne ye lala ye sabza ye gul

    chaman mein har ek shai tumhaari lage

    ye majhul si dosti kya karen

    hamein dushmani dil se pyari lage

    kali sa badan hai ki mauj-e-bahaar

    wo sar se qadam tak kunwari lage

    ye dil ki amanat banen to sahi

    jo tir-e-sitam bari bari lage

    dilon mein jo utre to lahrae barq

    nigah-e-karam sehar-kari lage

    kisi KHun-e-nahaq ki gul-reziyan

    chaman-dar-chaman lala-kari lage

    ghazal aisi kah di hai jafar-'raza'

    raqiban ke dil par kaTari lage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now