case tera aur bhi uljhaen kya
case terā aur bhī uljhā.eñ kyā
phir se terī 'arziyāñ lauTā.eñ kyā
dikh rahā hai shahr meñ thoḌā sā amn
ek chingārī kaho bhaḌkā.eñ kyā
rang-dārī kyoñ nahīñ dī ab talak
constable bhej kar mañgvā.eñ kyā
majnūoñ kī bhiiḌ dā'vat meñ hai kyoñ
aa.ī haiñ ban-Than ke kuchh lailā.eñ kyā
hai vahī roTī jo khāte haiñ sabhī
thaal hai chāñdī kī to itrā.eñ kyā
aise ghaTiyā charge ham par lag ga.e
kyā kareñ taslīm aur Thukrā.eñ kyā
ashk jitne the vo saare bah ga.e
ab ḳhazāna aur ham luTvā.eñ kyā
apnī kursī par hī haiñ baiThe hue
aap ke kahne se ham uTh jaa.eñ kyā
TuuTā baajā aur galā baiThā hai phir
kyā bajā.eñ 'talḳh' aur vo gaa.eñ kyā
case tera aur bhi uljhaen kya
phir se teri 'arziyan lauTaen kya
dikh raha hai shahr mein thoDa sa amn
ek chingari kaho bhaDkaen kya
rang-dari kyon nahin di ab talak
constable bhej kar mangwaen kya
majnuon ki bhiD da'wat mein hai kyon
aai hain ban-Than ke kuchh lailaen kya
hai wahi roTi jo khate hain sabhi
thaal hai chandi ki to itraen kya
aise ghaTiya charge hum par lag gae
kya karen taslim aur Thukraen kya
ashk jitne the wo sare bah gae
ab KHazana aur hum luTwaen kya
apni kursi par hi hain baiThe hue
aap ke kahne se hum uTh jaen kya
TuTa baja aur gala baiTha hai phir
kya bajaen 'talKH' aur wo gaen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.