Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chahat ji ka rog hai pyare ji ko rok lagao kyun

Sajjad Baqar Rizvi

chahat ji ka rog hai pyare ji ko rok lagao kyun

Sajjad Baqar Rizvi

MORE BYSajjad Baqar Rizvi

  chāhat rog hai pyāre ko rok lagāo kyuuñ

  jaisī karnī vaisī bharnī ab is par pachhtāo kyuuñ

  surḳh haiñ āñkheñ zard hai chehra rañgoñ tartīb ajiib

  is be-rañg zamāne ko tum aise rañg dikhāo kyuuñ

  dil dar kab band huā hai koī aa.e koī jaa.e

  jo aa.e aur kabhī na jaa.e vo mehmān bulāo kyuuñ

  sub.h bhūlā shaam ko vāpas ghar aa.e to ġhanīmat hai

  jin galiyoñ meñ ke na lauTo un galiyoñ meñ jaao kyuuñ

  aas Dor bahut nāzuk thī bojh paḌā to TuuT ga.ī

  tez havā.eñ jab chaltī hoñ ūñchī pech laḌāo kyuuñ

  saarī ruteñ ānī-jānī haiñ har rab hai apnā rañg

  rañg dhokā khāne vaalo apnā rañg uḌaao kyuuñ

  aas dāman chhūT gayā to hāthoñ ko āzād na do

  apnī chādar chhoTī ho to paañv bahut phailāv kyuuñ

  pyaar shiddat dil hiddat 'bāqar' us ko raas nahīñ

  garm havā ke jhoñkoñ se us phuul ko tum kumhlāo kyuuñ

  chahat ji ka rog hai pyare ji ko rok lagao kyun

  jaisi karni waisi bharni ab is par pachhtao kyun

  surKH hain aankhen zard hai chehra rangon ki tartib ajib

  is be-rang zamane ko tum aise rang dikhao kyun

  dil ka dar kab band hua hai koi aae koi jae

  jo aae aur kabhi na jae wo mehman bulao kyun

  subh ka bhula sham ko wapas ghar aae to ghanimat hai

  jin galiyon mein ja ke na lauTo un galiyon mein jao kyun

  aas ki Dor bahut nazuk thi bojh paDa to TuT gai

  tez hawaen jab chalti hon unchi pech laDao kyun

  sari ruten aani-jaani hain har rab ka hai apna rang

  rang ka dhoka khane walo apna rang uDao kyun

  aas ka daman chhuT gaya to hathon ko aazad na do

  apni chadar chhoTi ho to panw bahut phailaw kyun

  pyar ki shiddat dil ki hiddat 'baqar' us ko ras nahin

  garm hawa ke jhonkon se us phul ko tum kumhlao kyun

  Source :
  • Book : Kulliyat-e-Baqir (Pg. 213)
  • Author : Sajjad Baqir Rizvi
  • Publication : Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi (2010)
  • Edition : 2010
  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now