Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chahat ki nazar aap se Dali bhi gai hai

Muztar Khairabadi

chahat ki nazar aap se Dali bhi gai hai

Muztar Khairabadi

MORE BYMuztar Khairabadi

    chāhat nazar aap se Daalī bhī ga.ī hai

    hasrat kisī āshiq nikālī bhī ga.ī hai

    tum ne kisī bīmār ko achchhā bhī kiyā hai

    hālat kisī bigḌe sambhālī bhī ga.ī hai

    tum khel samajhte ho magar ye to batāo

    āh-e-dil-e-muztar kabhī ḳhālī bhī ga.ī hai

    kyā ḳhaak karūñ meñ ḳhalish ishq shikva

    ye phāñs kabhī tum se nikālī bhī ga.ī hai

    jhagḌe bhī kahīñ rashk-e-raqābat ke miTe haiñ

    ulfat meñ kabhī ḳhām-ḳhayālī bhī ga.ī hai

    'muztar' ko kabhī husn sadqa bhī diyā hai

    ye bhiik kabhī aap se Daalī bhī ga.ī hai

    chahat ki nazar aap se Dali bhi gai hai

    hasrat kisi aashiq ki nikali bhi gai hai

    tum ne kisi bimar ko achchha bhi kiya hai

    haalat kisi bigDe ki sambhaali bhi gai hai

    tum khel samajhte ho magar ye to batao

    aah-e-dil-e-muztar kabhi KHali bhi gai hai

    kya KHak karun mein KHalish ishq ka shikwa

    ye phans kabhi tum se nikali bhi gai hai

    jhagDe bhi kahin rashk-e-raqabat ke miTe hain

    ulfat mein kabhi KHam-KHayali bhi gai hai

    'muztar' ko kabhi husn ka sadqa bhi diya hai

    ye bhik kabhi aap se Dali bhi gai hai

    Source:

    Khirman (Part-1) (Pg. 235)

    • Author: Muztar Khairabadi
      • Edition: 2015
      • Publisher: Javed Akhtar
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now