chand jab meri hatheli pe hua karta tha
chāñd jab merī hathelī pe huā kartā thā
maiñ sitāroñ ke samundar meñ rahā kartā thā
chāñdnī abr se chhuptī huī sharmātī thī
husn chilman se rihā.ī kī du'ā kartā thā
hāl-e-dil likh ke chhupāte the churāte sab se
merā dil ek lifāfe meñ basā kartā thā
us kī har chaal se pahle hī maiñ vāqif ho kar
us kī har chaal meñ paiham hī phañsā kartā thā
hijr kī baat thī yā tiir chalāyā us ne
zaḳhm ban ke mire siine meñ dukhā kartā thā
har mohabbat kī kahānī se yahī siikh milī
jaan se haath gañvātā jo vafā kartā thā
chand jab meri hatheli pe hua karta tha
main sitaron ke samundar mein raha karta tha
chandni abr se chhupti hui sharmati thi
husn chilman se rihai ki du'a karta tha
haal-e-dil likh ke chhupate the churaate sab se
mera dil ek lifafe mein basa karta tha
us ki har chaal se pahle hi main waqif ho kar
us ki har chaal mein paiham hi phansa karta tha
hijr ki baat thi ya tir chalaya us ne
zaKHm ban ke mere sine mein dukha karta tha
har mohabbat ki kahani se yahi sikh mili
jaan se hath ganwata jo wafa karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.