chand ne abr mein chehre ko chhupa rakkha hai
chāñd ne abr meñ chehre ko chhupā rakkhā hai
shāyad us ghar ke darīche meñ diyā rakkhā hai
ek dhun hai jo shab-o-roz ravāñ rahtī hai
varna apnā to har ik kaam kiyā rakkhā hai
jaag jaa.e na kahīñ chāñd kī aahaT sun kar
loriyāñ de ke samundar ko sulā rakkhā hai
'arsa-e-pīrī hai kyoñ agle qadam kī Thokar
paañv rakkhā hai ki miTTī pe 'asā rakkhā hai
chand ne abr mein chehre ko chhupa rakkha hai
shayad us ghar ke dariche mein diya rakkha hai
ek dhun hai jo shab-o-roz rawan rahti hai
warna apna to har ek kaam kiya rakkha hai
jag jae na kahin chand ki aahaT sun kar
loriyan de ke samundar ko sula rakkha hai
'arsa-e-piri hai kyon agle qadam ki Thokar
panw rakkha hai ki miTTi pe 'asa rakkha hai
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 73)
- Author : Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.