chand suraj koi aKHtar nahin dekha humne
chāñd sūraj koī aḳhtar nahīñ dekhā ham ne
aap ke jaisā munavvar nahīñ dekhā ham ne
tujh se bichhḌe to kabhī ghar nahīñ dekhā ham ne
apne saa.e ko bhī muḌ kar nahīñ dekhā ham ne
ham ko mā'lūm nahīñ hotā hai kaisā darpan
aaj tak apnā bhī paikar nahīñ dekhā ham ne
fazl par us ke bharosa thā magar ḳhud pe na thā
so gunāhoñ kā koī dar nahīñ dekhā ham ne
chiil kavve to bahut dekhe tirī bastī meñ
amn kā koī kabūtar nahīñ dekhā ham ne
ik nazar paḌte hī ye tāb-e-nazāra bhī ga.ī
is liye us ko mukarrar nahīñ dekhā ham ne
log paḌh lete haiñ chehre pe likhī hasrat ko
ik nazar dekhā barābar nahīñ dekhā ham ne
baat karnā to bahut duur hai 'dānish' us ko
aañkh bhar kar kabhī dam bhar nahīñ dekhā ham ne
chand suraj koi aKHtar nahin dekha hum ne
aap ke jaisa munawwar nahin dekha hum ne
tujh se bichhDe to kabhi ghar nahin dekha hum ne
apne sae ko bhi muD kar nahin dekha hum ne
hum ko ma'lum nahin hota hai kaisa darpan
aaj tak apna bhi paikar nahin dekha hum ne
fazl par us ke bharosa tha magar KHud pe na tha
so gunahon ka koi dar nahin dekha hum ne
chil kawwe to bahut dekhe teri basti mein
amn ka koi kabutar nahin dekha hum ne
ek nazar paDte hi ye tab-e-nazara bhi gai
is liye us ko mukarrar nahin dekha hum ne
log paDh lete hain chehre pe likhi hasrat ko
ek nazar dekha barabar nahin dekha hum ne
baat karna to bahut dur hai 'danish' us ko
aankh bhar kar kabhi dam bhar nahin dekha hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.