chaar din aur hain yaron ke ye Dere yaro
chaar din aur haiñ yāroñ ke ye Dere yaaro
kal kisī aur ke hoñge ye basere yaaro
vaqt ke saath sabhī naqsh bhī miT jā.eñge
vaqt kī ret pe jo ham ne ukere yaaro
ye zar-o-māl jhagaḌte rahe ham jin ke liye
saath jā.eñge tumhāre na hī mere yaaro
aañkh chuñdhyā.ī chakā-chauñdh se kaale dhan kī
in ujāloñ se to behtar the añdhere yaaro
tum inheñ giit kaho nazm kaho yā ki ġhazal
maiñ ne kāġhaz pe kuchh aañsū haiñ bikhere yaaro
raat ḳhvāboñ meñ mahal Dher banātā hai 'sadā'
Dher ho jaate haiñ sab sub.h savere yaaro
chaar din aur hain yaron ke ye Dere yaro
kal kisi aur ke honge ye basere yaro
waqt ke sath sabhi naqsh bhi miT jaenge
waqt ki ret pe jo hum ne ukere yaro
ye zar-o-mal jhagaDte rahe hum jin ke liye
sath jaenge tumhaare na hi mere yaro
aankh chundhyai chaka-chaundh se kale dhan ki
in ujalon se to behtar the andhere yaro
tum inhen git kaho nazm kaho ya ki ghazal
main ne kaghaz pe kuchh aansu hain bikhere yaro
raat KHwabon mein mahal Dher banata hai 'sada'
Dher ho jate hain sab subh sawere yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.