chaDh ke jo dar se utarte hain
chaḌh ke jo daar se utarte haiñ
apne me'yār se utarte haiñ
paañv chalnā na bhuul jaa.eñ kahīñ
is liye car se utarte haiñ
ham ko sāhil kahīñ nahīñ dikhtā
aap kis paar se utarte haiñ
vo jo lalkār se nahīñ utre
terī jhankār se utarte haiñ
din havelī ke lad ga.e shāyad
rang dīvār se utarte haiñ
dekhnā hai buland log ab ke
kitnī raftār se utarte haiñ
chaDh ke jo dar se utarte hain
apne me'yar se utarte hain
panw chalna na bhul jaen kahin
is liye car se utarte hain
hum ko sahil kahin nahin dikhta
aap kis par se utarte hain
wo jo lalkar se nahin utre
teri jhankar se utarte hain
din haweli ke lad gae shayad
rang diwar se utarte hain
dekhna hai buland log ab ke
kitni raftar se utarte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.