chain se baiThne deti hi nahin ek nafas
chain se baiThne detī hī nahīñ ek nafas
kahīñ āvāz-e-azān aur kahīñ shor-e-jaras
ḳhuun insānoñ kā piine pe tule baiThe haiñ
kahīñ masjid ke manāre kahīñ mandir ke kalas
dil meñ ik buġhz kī jo gāñTh lagā rakkhī hai
to ise khol na bhaa.ī tū ise aur na kas
thaah is kī na milī hai na milegī tā-hashr
haañ samundar se bhī gahrā hai bahut bahr-e-havas
ab to 'ġhaibī' yahī gulshan se sadā aatī hai
phuul to phuul haiñ kāñToñ ko taras ab ke baras
chain se baiThne deti hi nahin ek nafas
kahin aawaz-e-azan aur kahin shor-e-jaras
KHun insanon ka pine pe tule baiThe hain
kahin masjid ke manare kahin mandir ke kalas
dil mein ek bughz ki jo ganTh laga rakkhi hai
to ise khol na bhai tu ise aur na kas
thah is ki na mili hai na milegi ta-hashr
han samundar se bhi gahra hai bahut bahr-e-hawas
ab to 'ghaibi' yahi gulshan se sada aati hai
phul to phul hain kanTon ko taras ab ke baras
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.