aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chal nahin sakte wahan zehn-e-rasa ke joD-toD

Habeeb Moosavi

chal nahin sakte wahan zehn-e-rasa ke joD-toD

Habeeb Moosavi

MORE BYHabeeb Moosavi

    chal nahīñ sakte vahāñ zehn-e-rasā ke joḌ-toḌ

    un chāleñ haiñ qayāmat balā ke joḌ-toḌ

    hai nazar-andāz koī koī manzūr-e-nazar

    dekhnā us but chashm-e-fitna-zā ke joḌ-toḌ

    kaj-adā.ī baat hai jis lagāvaT khel hai

    siikh le us fitna-gar se koī aa ke joḌ-toḌ

    ke qaabū karte haiñ ahl-e-ġharaz kyā dāñv-ghāt

    chalte haiñ matlab chāleñ mudda.ā ke joḌ-toḌ

    dost ban kar karte haiñ nekī ke parde meñ badī

    rāj-niyyat ye hai dekho aġhniyā ke joḌ-toḌ

    saḳhtiyāñ ustād haiñ insāñ duniyā meñ 'habīb'

    karte haiñ maġhlūb ko ġhālib sikhā ke joḌ-toḌ

    chal nahin sakte wahan zehn-e-rasa ke joD-toD

    un ki chaalen hain qayamat ki bala ke joD-toD

    hai nazar-andaz koi koi manzur-e-nazar

    dekhna us but ki chashm-e-fitna-za ke joD-toD

    kaj-adai baat hai jis ki lagawaT khel hai

    sikh le us fitna-gar se koi aa ke joD-toD

    pa ke qabu karte hain ahl-e-gharaz kya danw-ghat

    chalte hain matlab ki chaalen muddaa ke joD-toD

    dost ban kar karte hain neki ke parde mein badi

    raj-niyyat ye hai dekho aghniya ke joD-toD

    saKHtiyan ustad hain insan ki duniya mein 'habib'

    karte hain maghlub ko ghaalib sikha ke joD-toD

    Source:

    Deewan-e-habeeb (Pg. ebook-118 page-99)

    • Author: Habeeb Moosavi
      • Publisher: Ufuq Matba Shamshi, Hydrabad
      • Year of Publication: 1900
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now