chala gaya kab ka jaane wala meri nigahon mein aab likh kar

chala gaya kab ka jaane wala meri nigahon mein aab likh kar
Deepak Agrawal
MORE BYDeepak Agrawal
chalā gayā kab kā jaane vaalā mirī nigāhoñ meñ aab likh kar
maiñ sochtā huuñ kabhī kabhī ye ga.e dinoñ kā hisāb likh kar
kabhī thā jis se lagāo mujh ko karūñgā rusvā maiñ kaise us ko
sharāb likh kar 'azāb likh kar javāb likh kar ḳharāb likh kar
zamāne bhar kī nigāh meñ to maiñ ho gayā thā tabhī se bāġhī
kiyā thā sajda ḳhudā ko maiñ ne tire laboñ ko gulāb likh kar
phir us ke dāman pe koī uñglī uThe mujhe kyā qubūl hogā
maiñ daaġh us par lagā duuñ kaise bhalā use māhtāb likh kar
ġhazal tarannum se gar sajī hai to shā'irī meñ bhī ho sadāqat
vo de rahā hai adab ko dhokā charāġh ko āftāb likh kar
na aise hasrat na ye talab hai na ye dimāġhī futūr 'dīpak'
ki chhū luuñ shohrat kī maiñ bulandī ġhazal kī koī kitāb likh kar
chala gaya kab ka jaane wala meri nigahon mein aab likh kar
main sochta hun kabhi kabhi ye gae dinon ka hisab likh kar
kabhi tha jis se lagao mujh ko karunga ruswa main kaise us ko
sharab likh kar 'azab likh kar jawab likh kar KHarab likh kar
zamane bhar ki nigah mein to main ho gaya tha tabhi se baghi
kiya tha sajda KHuda ko main ne tere labon ko gulab likh kar
phir us ke daman pe koi ungli uThe mujhe kya qubul hoga
main dagh us par laga dun kaise bhala use mahtab likh kar
ghazal tarannum se gar saji hai to sha'iri mein bhi ho sadaqat
wo de raha hai adab ko dhoka charagh ko aaftab likh kar
na aise hasrat na ye talab hai na ye dimaghi futur 'dipak'
ki chhu lun shohrat ki main bulandi ghazal ki koi kitab likh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.