chale chalo ki Thaharne ka ye maqam nahin
chale chalo ki Thaharne kā ye maqām nahīñ
kisī bhī manzil-e-maqsūd ko davām nahīñ
balā-kashī meñ mirī haath mausamoñ kā bhī hai
shikast-e-tauba faqat e'tibār-e-jām nahīñ
gharauñde ret ke ban ban ke miTte jaate haiñ
gumān-e-ḳhām-ḳhayālī ḳhayāl-e-ḳhām nahīñ
na gesuoñ hī kī chhāñv na 'ārizoñ hī kī dhuup
ye sub.h sub.h nahīñ hai ye shaam shaam nahīñ
zamāna-sāzī-e-insān-dushmanī tauba
ravāj-o-rasm-e-mohabbat kā ehtirām nahīñ
ḳhalā se tā-ba-ḳhalā kor-chashm añdhere haiñ
yahāñ bhī jashn-e-charāġhāñ kā ehtimām nahīñ
kashāñ kashāñ chalā aayā huuñ un ke dar pe 'ziyā'
ab un se kaise kahūñ mujh ko un se kaam nahīñ
chale chalo ki Thaharne ka ye maqam nahin
kisi bhi manzil-e-maqsud ko dawam nahin
bala-kashi mein meri hath mausamon ka bhi hai
shikast-e-tauba faqat e'tibar-e-jam nahin
gharaunde ret ke ban ban ke miTte jate hain
guman-e-KHam-KHayali KHayal-e-KHam nahin
na gesuon hi ki chhanw na 'arizon hi ki dhup
ye subh subh nahin hai ye sham sham nahin
zamana-sazi-e-insan-dushmani tauba
rawaj-o-rasm-e-mohabbat ka ehtiram nahin
KHala se ta-ba-KHala kor-chashm andhere hain
yahan bhi jashn-e-charaghan ka ehtimam nahin
kashan kashan chala aaya hun un ke dar pe 'ziya'
ab un se kaise kahun mujh ko un se kaam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.