chale jate hain sab andhe na jaane hai nazar kis ko
chale jaate haiñ sab andhe na jaane hai nazar kis ko
kahāñ par hai maqām-e-zīst jaane hai ḳhabar kis ko
parakh ahl-e-nazar kī ho jagat meñ vo nazar kis ko
samar ke haiñ sabhī 'āshiq nazar aatā shajar kis ko
hameñ ḳhud kī zarūrat bhī nahīñ kuchh ḳhaas ab rahtī
ġharaz tujh se bhī ab hogī zamāne ye ḳhabar kis ko
ye marzī zindagī kī hai bashar bechāra hai bebas
karam kī ho nazar kis par karegī dar-guzar kis ko
musāfir to yuuñ kahne ko hazāroñ rah-guzar meñ haiñ
magar pūchho to ab 'rohit' safar kā hai hunar kis ko
chale jate hain sab andhe na jaane hai nazar kis ko
kahan par hai maqam-e-zist jaane hai KHabar kis ko
parakh ahl-e-nazar ki ho jagat mein wo nazar kis ko
samar ke hain sabhi 'ashiq nazar aata shajar kis ko
hamein KHud ki zarurat bhi nahin kuchh KHas ab rahti
gharaz tujh se bhi ab hogi zamane ye KHabar kis ko
ye marzi zindagi ki hai bashar bechaara hai bebas
karam ki ho nazar kis par karegi dar-guzar kis ko
musafir to yun kahne ko hazaron rah-guzar mein hain
magar puchho to ab 'rohit' safar ka hai hunar kis ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.