aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chale the yar baDe zoam mein hawa ki tarah

Ahmad Faraz

chale the yar baDe zoam mein hawa ki tarah

Ahmad Faraz

MORE BYAhmad Faraz

    chale the yaar baḌe zo.am meñ havā tarah

    palaT ke dekhā to baiThe haiñ naqsh-e-pā tarah

    mujhe vafā talab hai magar har ik se nahīñ

    koī mile magar us yār-e-bevafā tarah

    mire vajūd sahrā hai muntazir kab se

    kabhī to aa jaras-e-ġhuncha sadā tarah

    vo ajnabī thā to kyuuñ mujh se pher kar āñkheñ

    guzar gayā kisī derīna āshnā tarah

    kashāñ kashāñ liye jaatī hai jānib-e-manzil

    nafas Dor bhī zanjīr-e-be-sadā tarah

    'farāz' kis ke sitam gilā kareñ kis se

    ki be-niyāz huī ḳhalq bhī ḳhudā tarah

    chale the yar baDe zoam mein hawa ki tarah

    palaT ke dekha to baiThe hain naqsh-e-pa ki tarah

    mujhe wafa ki talab hai magar har ek se nahin

    koi mile magar us yar-e-bewafa ki tarah

    mere wajud ka sahra hai muntazir kab se

    kabhi to aa jaras-e-ghuncha ki sada ki tarah

    wo ajnabi tha to kyun mujh se pher kar aankhen

    guzar gaya kisi derina aashna ki tarah

    kashan kashan liye jati hai jaanib-e-manzil

    nafas ki Dor bhi zanjir-e-be-sada ki tarah

    'faraaz' kis ke sitam ka gila karen kis se

    ki be-niyaz hui KHalq bhi KHuda ki tarah

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 574)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now