aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chalo kuchh to rah tai ho na chale to bhul hogi

Ezaz Afzal

chalo kuchh to rah tai ho na chale to bhul hogi

Ezaz Afzal

MORE BYEzaz Afzal

    chalo kuchh to raah tai ho na chale to bhuul hogī

    abhī band har galī hai jo khulegī tuul hogī

    tire husn vadī.at mirī jur.at-e-nazāra

    tire rū-ba-rū jhukegī to nazar bhuul hogī

    mire ham-safar baḌheñge mujhe rāsta batā kar

    mire paañv se uḌī hai mire sar pe dhuul hogī

    mujhe qibla-rū biThā kar mire haath uThāne vaalo

    ye yaqīn bhī dilā do ki duā qubūl hogī

    chalo maan leñ ye donoñ koī shai hai maslahat bhī

    na sitam dil dukhegā na vafā malūl hogī

    tirā fan-e-qissa-goī abhī daar tak pahuñchā

    mire shauq kahānī abhī aur tuul hogī

    vo lahū dhaar 'afzal' jo hai qarz ḳhanjaroñ par

    na kareñge ham taqāzā na kabhī vasūl hogī

    chalo kuchh to rah tai ho na chale to bhul hogi

    abhi band har gali hai jo khulegi tul hogi

    tere husn ki wadiat meri jurat-e-nazara

    tere ru-ba-ru jhukegi to nazar ki bhul hogi

    mere ham-safar baDhenge mujhe rasta bata kar

    mere panw se uDi hai mere sar pe dhul hogi

    mujhe qibla-ru biTha kar mere hath uThane walo

    ye yaqin bhi dila do ki dua qubul hogi

    chalo man len ye donon koi shai hai maslahat bhi

    na sitam ka dil dukhega na wafa malul hogi

    tera fan-e-qissa-goi abhi dar tak hi pahuncha

    mere shauq ki kahani abhi aur tul hogi

    wo lahu ki dhaar 'afzal' jo hai qarz KHanjaron par

    na karenge hum taqaza na kabhi wasul hogi

    Source:

    Kalam-e-aizaz afzal (Pg. 183)

    • Author: Aizaz Afzal
      • Publisher: Usmania Book Depot
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now