chaman aab-e-tariqat se hamein dhona paDega
chaman āb-e-tarīqat se hameñ dhonā paḌegā
koī ik biij pākīza kahīñ bonā paḌegā
mohabbat meñ aziyyat kā 'ajab ye marhala hai
jise paayā nahīñ ab tak use khonā paḌegā
hamāre darmiyāñ qaa.im rahegī ajnabiyyat
magar mujh ko tirā tujh ko mirā honā paḌegā
vufūr-e-shauq ne rakkhā hameñ sargarm varna
thakan to mustaqil kahtī rahī sonā paḌegā
hamāre sar pe gaThrī hai ga.e-guzre dinoñ kī
hameñ ye bojh yūñhī 'umr bhar Dhonā paḌegā
gurezāñ huuñ magar tū hī batā āḳhir kahāñ tak
tirī tanhā.ī meñ ik din muḳhil honā paḌegā
latīfa-go hai raavī aur kahānī karbiya hai
to kyā 'āsim' hameñ hañste hue ronā paḌegā
chaman aab-e-tariqat se hamein dhona paDega
koi ek bij pakiza kahin bona paDega
mohabbat mein aziyyat ka 'ajab ye marhala hai
jise paya nahin ab tak use khona paDega
hamare darmiyan qaim rahegi ajnabiyyat
magar mujh ko tera tujh ko mera hona paDega
wufur-e-shauq ne rakkha hamein sargarm warna
thakan to mustaqil kahti rahi sona paDega
hamare sar pe gaThri hai gae-guzre dinon ki
hamein ye bojh yunhi 'umr bhar Dhona paDega
gurezan hun magar tu hi bata aaKHir kahan tak
teri tanhai mein ek din muKHil hona paDega
latifa-go hai rawi aur kahani karbiya hai
to kya 'asim' hamein hanste hue rona paDega
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 118)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.