aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaman apne rang mein mast hai koi gham-gusar-e-digar nahin

Figar Unnavi

chaman apne rang mein mast hai koi gham-gusar-e-digar nahin

Figar Unnavi

MORE BYFigar Unnavi

    chaman apne rañg meñ mast hai koī ġham-gusār-e-digar nahīñ

    ki hai shabnam ashk-fishāñ magar gul-e-tar ko koī ḳhabar nahīñ

    ġham-e-zindagī ilaaj to kabhī maut se bhī na ho sakā

    ye vo saḳht qaid-e-hayāt hai kisī tarah jis se mafar nahīñ

    mire paas jo bhī thā luT gayā na vo maiñ rahā na vo dil rahā

    kisī aur shai to zikr kyā ki ab aah meñ bhī asar nahīñ

    ye tasavvurāt vus.ateñ ye taḳhaiyyulāt rif.ateñ

    vahāñ jalve dekh rahā huuñ maiñ jahāñ iḳhtiyār-e-nazar nahīñ

    tire husn ye kamāl hai ki ḳhud aap apnī misāl hai

    vo jamāl to jamāl hai jo kisī aks-e-nazar nahīñ

    jo haiñ be-amal vo haiñ bā-amal jo haiñ be-hunar vo haiñ bā-hunar

    ajab inqilāb-e-zamāna hai kahīñ qadr-e-ahl-e-hunar nahīñ

    mujhe ai 'figār' na mil sakā koī lamha sub.h-e-nashāt

    mirī zindagī hai vo shām-e-ġham ki jo rūshanās-e-sahar nahīñ

    chaman apne rang mein mast hai koi gham-gusar-e-digar nahin

    ki hai shabnam ashk-fishan magar gul-e-tar ko koi KHabar nahin

    gham-e-zindagi ka ilaj to kabhi maut se bhi na ho saka

    ye wo saKHt qaid-e-hayat hai kisi tarah jis se mafar nahin

    mere pas jo bhi tha luT gaya na wo main raha na wo dil raha

    kisi aur shai ka to zikr kya ki ab aah mein bhi asar nahin

    ye tasawwuraat ki wusaten ye taKHaiyyulat ki rifaten

    wahan jalwe dekh raha hun main jahan iKHtiyar-e-nazar nahin

    tere husn ka ye kamal hai ki KHud aap apni misal hai

    wo jamal hi to jamal hai jo kisi ka aks-e-nazar nahin

    jo hain be-amal wo hain ba-amal jo hain be-hunar wo hain ba-hunar

    ajab inqilab-e-zamana hai kahin qadr-e-ahl-e-hunar nahin

    mujhe ai 'figar' na mil saka koi lamha subh-e-nashat ka

    meri zindagi hai wo sham-e-gham ki jo rushanas-e-sahar nahin

    Source:

    Harf-o-nava (Pg. 134)

    • Author: Figaar Unnavi
      • Edition: 2001
      • Publisher: umesh bahadur sirivasto figaar unnavi
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now