chaman hans paDa gul khile ja rahe hain

chaman hans paDa gul khile ja rahe hain
Nazeer Hussain Siddiqui
MORE BYNazeer Hussain Siddiqui
chaman hañs paḌā gul khile jā rahe haiñ
bahār aa rahī hai ki vo aa rahe haiñ
ġhazab thā jise ik nazar dekh lenā
use dekhne aaj ham jā rahe haiñ
ye un kī navāzish hai kis tarh bhūlūñ
bhulātā huuñ phir bhī vo yaad aa rahe haiñ
sitam par nuzūl-e-sitam hai ye kaisā
abhī aa.e the vo abhī jā rahe haiñ
baḌhegā mirā dard-e-dil aur is se
vo kyoñ pursish-e-hāl farmā rahe haiñ
adā chhup ke aane kī pahuñchī kahāñ tak
vo ḳhud mujh se bhī ab chhupe jā rahe haiñ
tire daur-e-furqat meñ ye bhī bahut hai
tirī yaad se dil ko bahlā rahe haiñ
vo rasm-e-qadīm un kī jaarī hai ab bhī
jo taḌpā rahe the vo taḌpā rahe haiñ
barābar hai us kā ye paanā na paanā
jise pā ke ham aap kho jā rahe haiñ
tilism-e-tamāshā hai un kā tasavvur
jidhar jā rahe haiñ unheñ pā rahe haiñ
vo hañste haiñ dete nahīñ bosa-e-lab
pilāte nahīñ jaam chhalkā rahe haiñ
'junūñ' un ke gesū hoñ yā un ke 'āriz
sab apne ḳhayāloñ meñ uljhā rahe haiñ
chaman hans paDa gul khile ja rahe hain
bahaar aa rahi hai ki wo aa rahe hain
ghazab tha jise ek nazar dekh lena
use dekhne aaj hum ja rahe hain
ye un ki nawazish hai kis tarh bhulun
bhulata hun phir bhi wo yaad aa rahe hain
sitam par nuzul-e-sitam hai ye kaisa
abhi aae the wo abhi ja rahe hain
baDhega mera dard-e-dil aur is se
wo kyon pursish-e-haal farma rahe hain
ada chhup ke aane ki pahunchi kahan tak
wo KHud mujh se bhi ab chhupe ja rahe hain
tere daur-e-furqat mein ye bhi bahut hai
teri yaad se dil ko bahla rahe hain
wo rasm-e-qadim un ki jari hai ab bhi
jo taDpa rahe the wo taDpa rahe hain
barabar hai us ka ye pana na pana
jise pa ke hum aap kho ja rahe hain
tilism-e-tamasha hai un ka tasawwur
jidhar ja rahe hain unhen pa rahe hain
wo hanste hain dete nahin bosa-e-lab
pilate nahin jam chhalka rahe hain
'junun' un ke gesu hon ya un ke 'ariz
sab apne KHayalon mein uljha rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.