chaman mein aap ki tarah gulab ek bhi nahin
chaman meñ aap kī tarah gulāb ek bhī nahīñ
huzūr ek bhī nahīñ janāb ek bhī nahīñ
hamārī sarguzasht meñ hazāroñ vāqi'āt haiñ
magar jo dekhte rahe vo ḳhvāb ek bhī nahīñ
ziyāfatoñ meñ aaj kal rivāj-e-sarḳhushī kahāñ
kuchh aur pī rahe haiñ sab sharāb ek bhī nahīñ
idhar kisī se kuchh liyā udhar kisī ko de diyā
chunāñche vājib-ul-adā hisāb ek bhī nahīñ
kutub ke Dher meñ na ho sahīfa zikr-e-yār kā
to qābil-e-mutāle’a kitāb ek bhī nahīñ
qavī bhī hai za'īf bhī hamārā hāfiza 'sha'ūr'
maze tamām yaad haiñ 'azāb ek bhī nahīñ
chaman mein aap ki tarah gulab ek bhi nahin
huzur ek bhi nahin janab ek bhi nahin
hamari sarguzasht mein hazaron waqi'at hain
magar jo dekhte rahe wo KHwab ek bhi nahin
ziyafaton mein aaj kal riwaj-e-sarKHushi kahan
kuchh aur pi rahe hain sab sharab ek bhi nahin
idhar kisi se kuchh liya udhar kisi ko de diya
chunanche wajib-ul-ada hisab ek bhi nahin
kutub ke Dher mein na ho sahifa zikr-e-yar ka
to qabil-e-mutale’a kitab ek bhi nahin
qawi bhi hai za'if bhi hamara hafiza 'sha'ur'
maze tamam yaad hain 'azab ek bhi nahin
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 118)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.