Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaman mein bulbulon ke jhurmuT kabhi idhar ko kabhi udhar ko

Hakeem Aagha Jan Aish

chaman mein bulbulon ke jhurmuT kabhi idhar ko kabhi udhar ko

Hakeem Aagha Jan Aish

MORE BYHakeem Aagha Jan Aish

    chaman meñ bulbuloñ ke jhurmuT kabhī idhar ko kabhī udhar ko

    isī se hai gul ko bhī lagāvaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko

    ye kahiyo dekhā kiyā huuñ zālim uThā ke bālīñ se sar ko har dam

    samajh ke paañv tere aahaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko

    tirī judā.ī meñ raat saarī sabā ye kahnā ba-āh-o-zārī

    badalte guzrī hai mujh ko karvaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko

    bhalā batāo to ḳhalq kyuuñ kar do rasta rakkheñ na haat dil par

    laḌātā hai añkhḌiyāñ vo naT-khaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko

    gayā jo gulshan meñ merā gul-rū to kaliyāñ phūloñ ke qaabū

    balā.eñ letī haiñ us chaT-chaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko

    kabhī ye be-dil kabhī vo be-dil safā.ī honī hai in meñ mushkil

    rahegī bāham yuuñ rukāvaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko

    ye kah do āshiq us sanam se dil-o-jigar ab ḳharāsh-e-ġham se

    gire hai ashkoñ ke saath kaT kaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko

    ye hai nasheb-o-farāz-e-duniyā abas hai is ḳhayāl karnā

    jahāñ meñ hote haiñ yuuñ jamghaT kabhī idhar ko kabhī udhar ko

    jo dekhe kaalā to khā mare sam ye us ke mukhḌe pe 'aish' jis dam

    havā se hotī hai zulf laT kabhī idhar ko kabhī udhar ko

    chaman mein bulbulon ke jhurmuT kabhi idhar ko kabhi udhar ko

    isi se hai gul ko bhi lagawaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko

    ye kahiyo dekha kiya hun zalim uTha ke baalin se sar ko har dam

    samajh ke panw ki tere aahaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko

    teri judai mein raat sari saba ye kahna ba-ah-o-zari

    badalte guzri hai mujh ko karwaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko

    bhala batao to KHalq kyun kar do rasta rakkhen na hat dil par

    laData hai ankhDiyan wo naT-khaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko

    gaya jo gulshan mein mera gul-ru to kaliyan phulon ki pa ke qabu

    balaen leti hain us ki chaT-chaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko

    kabhi ye be-dil kabhi wo be-dil safai honi hai in mein mushkil

    rahegi baham yun hi rukawaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko

    ye kah do aashiq ka us sanam se dil-o-jigar ab KHarash-e-gham se

    gire hai ashkon ke sath kaT kaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko

    ye hai nasheb-o-faraaz-e-duniya abas hai is ka KHayal karna

    jahan mein hote hain yun hi jamghaT kabhi idhar ko kabhi udhar ko

    jo dekhe kala to kha mare sam ye us ke mukhDe pe 'aish' jis dam

    hawa se hoti hai zulf ki laT kabhi idhar ko kabhi udhar ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now