chaman milen bhi to sahra shumar hote hain
chaman mileñ bhī to sahrā shumār hote haiñ
ye hādsāt yahāñ baar baar hote haiñ
vo jitnī der meñ kashtī qarīb laate haiñ
ham utnī der meñ dariyā ke paar hote haiñ
hamāre saath mohabbat na kar dilāsa de
ham aise log ġharīb-ud-dayār hote haiñ
visāl-o-hijr ko yakjā kareñge ham kaise
ye do kināre kahāñ ham-kanār hote haiñ
na aap hausla dete haiñ rone vāloñ ko
na aap shāmil-e-chīḳh-o-pukār hote haiñ
ham apne dard to tahrīr kar nahīñ sakte
tumhāre zikr se bas ashk-bār hote haiñ
chaman milen bhi to sahra shumar hote hain
ye hadsat yahan bar bar hote hain
wo jitni der mein kashti qarib late hain
hum utni der mein dariya ke par hote hain
hamare sath mohabbat na kar dilasa de
hum aise log gharib-ud-dayar hote hain
visal-o-hijr ko yakja karenge hum kaise
ye do kinare kahan ham-kanar hote hain
na aap hausla dete hain rone walon ko
na aap shamil-e-chiKH-o-pukar hote hain
hum apne dard to tahrir kar nahin sakte
tumhaare zikr se bas ashk-bar hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.