Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaman walo haqiqat humse batlai nahin jati

Aarif Aazmi

chaman walo haqiqat humse batlai nahin jati

Aarif Aazmi

MORE BYAarif Aazmi

    chaman vaalo haqīqat ham se batlā.ī nahīñ jaatī

    guloñ ke dil pe jo biitī vo samjhā.ī nahīñ jaatī

    chaman husn bil-āḳhir guloñ aabrū Thahrā

    ye izzat shāh-rāh-e-ām pe laa.ī nahīñ jaatī

    ġham-e-daurāñ uljhan ho ki vahshat ho mohabbat

    shikasta dil hālat bar-zabāñ laa.ī nahīñ jaatī

    are kam-zarf mai-noshī ye koī salīqa hai

    sar-e-mahfil mai-e-gul-rañg chhalkā.ī nahīñ jaatī

    sajā detā huuñ ḳhvāboñ ke dar-o-dīvār pe us ko

    vo ik shai jo kisī sūrat se apnā.ī nahīñ jaatī

    na pūchho kyā nigāh-e-nāz ne dil par asar chhoḌā

    ġhazal ke sher meñ tāsīr vo laa.ī nahīñ jaatī

    hujūm-e-shahr ho 'ārif' ki apne ghar ḳhalvat ho

    nahīñ jaatī magar apnī ye tanhā.ī nahīñ jaatī

    chaman walo haqiqat hum se batlai nahin jati

    gulon ke dil pe jo biti wo samjhai nahin jati

    chaman ka husn bil-aKHir gulon ki aabru Thahra

    ye izzat shah-rah-e-am pe lai nahin jati

    gham-e-dauran ki uljhan ho ki wahshat ho mohabbat ki

    shikasta dil ki haalat bar-zaban lai nahin jati

    are kam-zarf mai-noshi ka ye koi saliqa hai

    sar-e-mahfil mai-e-gul-rang chhalkai nahin jati

    saja deta hun KHwabon ke dar-o-diwar pe us ko

    wo ek shai jo kisi surat se apnai nahin jati

    na puchho kya nigah-e-naz ne dil par asar chhoDa

    ghazal ke sher mein tasir wo lai nahin jati

    hujum-e-shahr ho 'arif' ki apne ghar ki KHalwat ho

    nahin jati magar apni ye tanhai nahin jati

    Source:

    Rida-e-Sukhan (Pg. 66)

    • Author: Aarif Aazmi
      • Publisher: Faran Publishers, Mumbai
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now