chand lamhon ki judai ka azab aisa hai
chand lamhoñ kī judā.ī kā 'azāb aisā hai
aur ye vaqt jo sadiyoñ se bahut tanhā hai
mujh ko paane kī tamanna meñ vo ġharqāb huā
maiñ ne sāhil kī tamanna meñ use khoyā hai
maiñ tire saath huuñ lekin huuñ zamāne se alag
ye agar tū bhī samajh le to bahut achchhā hai
ik rivāyat hai jo sadiyoñ se chalī aatī hai
ik taraf 'ishq hai aur ek taraf duniyā hai
chand lamhon ki judai ka 'azab aisa hai
aur ye waqt jo sadiyon se bahut tanha hai
mujh ko pane ki tamanna mein wo gharqab hua
main ne sahil ki tamanna mein use khoya hai
main tere sath hun lekin hun zamane se alag
ye agar tu bhi samajh le to bahut achchha hai
ek riwayat hai jo sadiyon se chali aati hai
ek taraf 'ishq hai aur ek taraf duniya hai
- Book : Ishq (Pg. 110)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.