charagh isi liye apne bujha ke chalte hain
charāġh isī liye apne bujhā ke chalte haiñ
ki hukm saare yahāñ par havā ke chalte haiñ
ham aise shahr-e-halākat meñ bas rahe haiñ jahāñ
masīh-e-vaqt salībeñ uThā ke chalte haiñ
ab aise ahl-e-hunar se kise 'aqīdat ho
jo dil ke daaġh jabīñ par sajā ke chalte haiñ
hamāre ḳhvāb kisī karbalā se kam to nahīñ
so ham bhī ret pe ḳheme jalā ke jalte haiñ
kabhī ham un kī basārat kā nuur the ai dil
jo aaj ham se nigāheñ churā ke chalte haiñ
udāsiyoñ ke safar kuchh nishān-e-manzil de
ki ab to apne qadam laḌkhaḌā ke chalte haiñ
mazār-e-ahl-e-tamanna hai vo jagah 'āzād'
jahāñ se qāfile aañsū bahā ke chalte haiñ
charagh isi liye apne bujha ke chalte hain
ki hukm sare yahan par hawa ke chalte hain
hum aise shahr-e-halakat mein bas rahe hain jahan
masih-e-waqt saliben uTha ke chalte hain
ab aise ahl-e-hunar se kise 'aqidat ho
jo dil ke dagh jabin par saja ke chalte hain
hamare KHwab kisi karbala se kam to nahin
so hum bhi ret pe KHeme jala ke jalte hain
kabhi hum un ki basarat ka nur the ai dil
jo aaj hum se nigahen chura ke chalte hain
udasiyon ke safar kuchh nishan-e-manzil de
ki ab to apne qadam laDkhaDa ke chalte hain
mazar-e-ahl-e-tamanna hai wo jagah 'azad'
jahan se qafile aansu baha ke chalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.